Followers

Sunday, February 28, 2010

The True Taste of Delhi (recipes?)

here are a few couplets by Shuja Khawar...

jis se do batien karo woh wasl ko tayyar hai
ab kya ghazal kahen ke mauzu'aat kam hone lage

bas aankh ko aaram de bande ke baahar kuch nahin
chashm e tasavvur khol, maujudaat kam hone lage

zindaan e sukhan mein mujhe rakhta hai nazar band
jangal mein bhi hota hai kahin sher e babar band

wasl par tayyar hain sab kaise ho mashq e sukhan
koi aurat to samajhti hoor apne aap ko

aag itni hai ke duniya ko jala de ye magar
phoonkta hai zaat ka tandoor apne aap ko

ban ke Buqraat inkishaaf e zaat ko nikla tha tu
ab shikam ka jabr hai to thoor apne aap ko !

inkishaaf e zaat means clear knowledge of the self, thoor is a delhi word for eating shamelessly.

poochte hain woh ke ghalib kauh hai...

My photo
Senior assistant professor at Zakir Husain Delhi College (Eve.) of the Delhi University