Followers

Wednesday, July 15, 2009

Aadmi Nama

here is an excerpt from "Aadmi Nama" by Nazeer Akbarabadi.

duniya mien badshah hai so hai woh bhi aadmi
aur muflis o gada hai so hai woh bhi aadmi
zar dar be nawa hai so hai woh bhi aadmi
ne'amat jo kha raha hai so hai woh bhi aadmi
tukde jo mangta hai so hai woh bhi aadmi

abdaal o qutb o ghaus o wali aadmi hui
munkar bhi aadmi hue aur kufr se bhare
kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
khaliq se ja mila hai so hai woh bhi aadmi

fir'aun ne kiya tha jo daawa khudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi hi naar hai aur aadmi hi noor
yan aadmi hi paas hai aur aadmi hi door
kul aadmi ka husn o qaba mien hai yaan zahoor
shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai makr o zor
aur haadi, rehnuma hai so hai woh bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imaam aur khutba khwan
padhte hain aadmi hi namaaz aur quran yan
aur aadmi hi un ki churaate hain jootiyan
unko jo tadhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi hi tegh se maare hai aadmi
pagrhi bhi aadmi ki utaare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke daudhta hai so hai woh bhi aadmi!

explanations follow in the next entry...please comment !

Wednesday, July 1, 2009

a little more meer!

i recently came upon this one...identified with it and then felt that the identification would be quite universal...

baawle se jab talak bakte the, sab karte the pyar!
aql ki baten kiyan, kya ham se na dani hui!

in fact there are quite a few which can be read out to the rationalists...

kehta hai baat woh dil, jo aql mien na aye!
ghar ka musheer kitna na daan hai hamara!

'musheer' is the advisor...this one is quite paradoxical...but the tone is certainly that of praise for the heart's advice.

and finally just to give a discursive feel to the tropes mentioned in meer
Iqbal says:

be khatar kood padha aatish e namrood mein ishq
aql hai mahv e tamasha e lab e baam abhi!

here is one for the rationalists by shuja khawar:

aankhen bata rahin hain ke daana hai daam mein
aur fikr keh rahi hai ke daane mein daam hai!

when one sees the bait in the trap one does not know that it is bait...it is only the 'fikr' or reason that tells you that the seed is not only in the trap...but that the 'seed' is the trap

poochte hain woh ke ghalib kauh hai...

My photo
Senior assistant professor at Zakir Husain Delhi College (Eve.) of the Delhi University