Followers

Wednesday, July 15, 2009

Aadmi Nama

here is an excerpt from "Aadmi Nama" by Nazeer Akbarabadi.

duniya mien badshah hai so hai woh bhi aadmi
aur muflis o gada hai so hai woh bhi aadmi
zar dar be nawa hai so hai woh bhi aadmi
ne'amat jo kha raha hai so hai woh bhi aadmi
tukde jo mangta hai so hai woh bhi aadmi

abdaal o qutb o ghaus o wali aadmi hui
munkar bhi aadmi hue aur kufr se bhare
kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
khaliq se ja mila hai so hai woh bhi aadmi

fir'aun ne kiya tha jo daawa khudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua khuda
namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
yan tak jo ho chuka hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi hi naar hai aur aadmi hi noor
yan aadmi hi paas hai aur aadmi hi door
kul aadmi ka husn o qaba mien hai yaan zahoor
shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai makr o zor
aur haadi, rehnuma hai so hai woh bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imaam aur khutba khwan
padhte hain aadmi hi namaaz aur quran yan
aur aadmi hi un ki churaate hain jootiyan
unko jo tadhta hai so hai woh bhi aadmi

yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi
aur aadmi hi tegh se maare hai aadmi
pagrhi bhi aadmi ki utaare hai aadmi
chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke daudhta hai so hai woh bhi aadmi!

explanations follow in the next entry...please comment !

7 comments:

  1. aur ab to aaadmee,aaadmee se pya bhi karta hai!!!(377 abolished!)...

    ReplyDelete
  2. aadmi ke aadmi se pyar par bahut kuch hai kehne ko....lekin...probably in some other place. thanks for being the first one to read my entries.

    ReplyDelete
  3. do u know who was the first person who called for gay rights.....none other then bollywood's own manoj kumar when he sang " BUS YAHEE APRADH MEIN HAR BAAR KARTA HOOON.....AADMI HOOO AAADMII SE PYAR KARTA HOOOON!!!!

    ReplyDelete
  4. I like it very much.. I have been searching this nazm for a long time.. thanks.

    ReplyDelete
  5. Well said Anupamji... I wonder why mannu ji has commited such sins "admi se pyar" chhee chee chee

    ReplyDelete
  6. this poetry is alive when late mr. Habib tanvir has produced a tv serial by the name of nazir.

    ReplyDelete
  7. I need english meaning for this poem AAdmi Nama.

    ReplyDelete

poochte hain woh ke ghalib kauh hai...

My photo
Senior assistant professor at Zakir Husain Delhi College (Eve.) of the Delhi University