Followers

Friday, April 9, 2010

ALLAMA IQBAL'S " DIALOGUE WITH THE INHABITANTS OF THE OTHER WORLD"

mehr e raushan chchup gaya, uththa naqaab e ru e shaam
shana e hasti pe hai bikhra hua gesu e shaam
mehr e raushan=bright sun, naqaab e ru e shaam=the veil over the face of the evening
shaana e hasti=the shoulder of existence, gesu e shaam=the hair of the evening

yeh siya poshi ki tayyari kisi ke gham mein hai
mehfil e qudrat magar khursheed ke maatam mein hai
siya poshi=dark dress, weeds, khursheed=sun, nature mourns the fall of the sun

kar raha hai aasman jadoo lab e guftaar par
sahir e shab ki nazar hai deedah e bedaar par

ghota zan darya e khamoshi mien hai mauj e hawa
haan magar ek door se aati hai aawaz e dara
ghota zan=diver, the air dives into the sea of silence, one can only hear a distant bell (of the cattle?)

dil ke hai be taabi e ulfat mein duniya se nafoor
khench laya hai mujhe hangama e aalam se door

manzar e hirmaan naseebi ka tamashai hoon main
ham nasheen e khaftgaan e kunj e tanhai hoon main
manzar e hirmaan naseebi= the sight of someone's disappointment or loss
i am a companion of the one's who have been locked into silence.

tham zara be taabi e dil baith jaane de mujhe
aur is basti pe chaar aansoo girane de mujhe

ai mae ghaflat ke sarmaston kahan rehte ho tum
kuchch kaho us des ki aakhir jahan rehte ho tum

woh bhi hairat khaana e imroz o farda hai koi?
aur paikaar e anasir ka tamaasha hai koi?

aadmi wan bhi hisaar e gham mein hain mehsoor kya?
us wilayat mein bhi hai insaan ka dil majboor kya?

waan bhi jal marta hai soz e shama par parwana kya?
us chaman mien bhi gul o bulbul ka hai afsaana kya?

yaan to ik misre pe pehloo se nikal jaata hai dil
sher ki garmi se kya waan bhi pighal jaata hai dil?

rishta o paiwand yaan ke jaan ke aazaar hain
us gulistaan mien bhi kya aise nukeele khaar hain?

is jahaan mien ik maeeshat aur sau uftaad hain
rooh kya us des mien is fikr se aazaad hai?

kya wahaan bijli bhi hai, dehqaan bhi hai, khirman bhi hai
qafile wale bhi hain, andesha e rahzan bhi hai?

tinke chunte hain wahan kya aashiyan ke waaste?
khisht o gil ki fikr hoti hai makaan ke waaste?

waan bhi insaan apni asliyat se begaane hain kya?
imtiyaaz e millat o aayin ke deewane hain kya?

waan bhi kya faryaad e bulbul par chaman rota nahin?
is jahan ki tarha waan bhi dard e dil hota nahin?

baagh hai firdaus ya ek manzil e aaram hai?
ya rukh e be parda e husn e azal ka naam hai?

kya jahannum ma'asiyat sozi ki ik tarkeeb hai?
aag ke sholon mien pinhaan maqsad e taadeeb hai

kya ewaz raftaar ke is des mein parwaaz hai?
maut kehte hain jise ehl e zameen, kya raaz hai?

iztiraab e dil ka saamaan yaan ka hast o bood hai
ilm e insaan is wilayat mein bhi kya mehdood hai?

deed se taskeen pata hai dil e mehjoor bhi?
lan tarani keh rahe hain ya, wahan ke toor bhi?

justujoo mein hai wahaan bhi rooh ko aaram kya?
waan bhi insaan hai qateel e zauq e istehnaam kya?

aah woh kishwar bhi taareeki ki kya ma'amoor hai?
ya muhabbat ke tajalli se, saraapa noor hai?

tum bata do raaz jo is gumbad e gardaan mien hai
maut ek chubhta hua kaanta dil e insaan mein hai
gumbad e gardaan= grave, mound of earth

2 comments:

  1. hazat....taarruf hona chahiye....shuja, irfan bhi...kamaal hai....

    baraye mehrbaani italics ka istemaal na kareN....javaan aadmi hun magar bhir bhi paRhne mein taklif hoti hai....doosroN ko bhi hoti hogi....

    ReplyDelete
  2. khaadim delhi university mien english padhata hai! Urdu buzurgon ki jootiyan seedhi karne mein seekhi hai...aapka italics par suggestion dhyan rahega...age se parishani nahin hogi. shukriya...please keep commenting.

    ReplyDelete

poochte hain woh ke ghalib kauh hai...

My photo
Senior assistant professor at Zakir Husain Delhi College (Eve.) of the Delhi University