Followers

Tuesday, April 15, 2008

Iqbal's poetic legacy to the coming generations...

this is a relatively lesser known poem by Iqbal included in one of his later works...
boodhe baloch ki nasihat...

ho tere bayaban ki hawa tujh ko gawara
is dasht se behtar hai na dilli na bukhara

jis simt mein chahe sifat e sail e rawan chal
vadi yeh hamari hai yeh sehra bhi hamara

ghairat hai badi cheez jahan e tag o dau mien
pehnati hai darvesh ko taj e sar e dara

haasil kisi kamil se ye posheeda hunar kar
kehte hain ke sheeshe ko bana sakte hain khara

mehroom raha daulat e darya se wo ghawwas
karta nahin jo sohbat e saahil se kinara

duniya ko hai phir ma'arka e ruh o badan pesh
tehzeeb ne phir apne darindon ko ubhara

Allah ko pa mardi e mo'min pe bharosa
iblees ko Europe ki mashinon ka sahara

taqdeer e umam kya hai koi keh nahin sakta
mo'min ko farasat ho to ka'afi hai ishara

ikhlas e amal seekh naya kaan e kuhan se
shahan che ajab gar ba nawazand gada ra.

2 comments:

  1. hey i liked this post. will pester you about word meanings soon! have added your and onjus' blog to mine so that i can visit them when i like :)

    ReplyDelete
  2. you have missed some verses

    vadi yeh hamari hai woh sehra bhi hamara

    afraad kai hathon mein ha aqwaam ki taqdeer
    har fard ha milat kai muqadar ka sitara

    din haath sai dai ker agar azaad ho milat
    hai aisi tijarat mein muslaman ko khasara

    shahan che ajab gar ba nawazand gada ra

    - Dr. Allama Iqbal

    ReplyDelete

poochte hain woh ke ghalib kauh hai...

My photo
Senior assistant professor at Zakir Husain Delhi College (Eve.) of the Delhi University