Followers

Tuesday, April 22, 2008

a ghazal by meer taqi meer!

rang ud chala gulon ka chaman mein to kya naseem
ham ko to rozgar ne be baal o par kiya

nafeh jo thin mizaj ko awwal so ishq mein
aakhir unhin dawaon ne ham ko zarar kiya
(zarar: nuqsaan karna)

kya janoon bazm e aish ke saaqi ki chashm dekh
main suhbat e sharaab se aage safar kiya
(chashm: ankh)

jis dam ke tegh e ishq kinchi bul hawas kahan
sun lijiye ke hamne hi seena sipar kiya
(tegh: dagger, bul hawas: subjects of desire)

woh dasht e khauf naak raha hai mera watan
sun kar jise khizar ne safar se uzar kiya

(dasht: registan, desert, khizar: a travelling figure like Tiresias)

No comments:

Post a Comment

poochte hain woh ke ghalib kauh hai...

My photo
Senior assistant professor at Zakir Husain Delhi College (Eve.) of the Delhi University