Followers

Thursday, May 15, 2008

irfan siddiqui!

awwal awwal is se kuch harf o nawa karte the ham
rafta rafta raigan kaar e sukhan lagne laga

ham kahan ke yousuf e saani the lekin us ka haath
ek shab ham ko balaa e pairahan lagne laga

tere wehshee ne giraftari se bachne ke liyen
ram kiya itna ke aahu e khutan lagne laga

ham badhe ehl e khirad bante the yeh kya ho gaya
aql ka har faisla deewana pan lagne laga

this is a ghazal which gives you the reference to my nom de plume, ek aur shair irfan ka hi
is ko wazeh karne ke liyen

yeh mushk hai ke muhabbat mujhe nahin ma'aloom
mehek se mere hiran ke taraf se aati hai

'aahu' hiran ko kehte hain

punchline: kabhi to saari shikaston ka yoon sila mil jaye
hiran ki khoj mein nikloon shakuntala mil jaye
(i donno the poet..but its a good one)

No comments:

Post a Comment

poochte hain woh ke ghalib kauh hai...

My photo
Senior assistant professor at Zakir Husain Delhi College (Eve.) of the Delhi University